SEARCH RESULTS
Showing search results for "kin"
Sher MATCHES FOR "kin"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Sher
vo kare.n bhii to kin alfaaz me.n teraa shikva
jin ko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
kin niindo.n ab tuu sotii hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgaa.n to khol shahr ko sailaab le gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
Allama Iqbal
Sher
ai Gam-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
kin bahaano.n se tabii.at raah par laa.ii ga.ii
Sahir Ludhianvi
Sher
tamaam umr akele me.n tujh se baate.n kii.n
tamaam umr tire ruu-ba-ruu KHamosh rahe
Khursheed Rizvi
Sher
Bashar Nawaz
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
kin manzilo.n luTe hai.n mohabbat ke qaafile
insaa.n zamii.n pe aaj Gariib-ul-vatan saa hai
Ada Jafarey
Sher
ye gard hai mirii aa.nkho.n me.n kin zamaano.n kii
na.e libaas bhii ab to puraane lagte hai.n