SEARCH RESULTS
Showing search results for "kin-min"
Sher MATCHES FOR "kin-min"
Sher
maanaa ki mai.n hazaar fasiilo.n me.n qaid huu.n
lekin kabhii KHuluus se mujh ko bulaa ke dekh
Naseem Nikhat
Sher
naaKHudaa dekh rahaa hai ki mai.n girdaab me.n huu.n
aur jo pul pe kha.De log hai.n aKHbaar se hai.n
Gulzar
Sher
dhuup bolii ki mai.n aabaa.ii vatan huu.n teraa
mai.n ne phir saaya-e-diivaar ko zahmat nahii.n dii
Farhat Ehsas
Sher
hausla kis me.n hai yuusuf kii KHariidaarii kaa
ab to mah.ngaa.ii ke charche hai.n zuleKHaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Sher
Qateel Shifai
Sher
mire sehan par khulaa aasmaan rahe ki mai.n
use dhuup chhaa.nv me.n baa.nTanaa nahii.n chaahtaa
Khawer Eijaz
Sher
miraa kamaal ki mai.n is fazaa me.n zinda huu.n
du'aa na milte hu.e aur havaa na hote hu.e
Jamal Ehsani
Sher
KHataa ye thii ki mai.n aasaaniyo.n kaa taalib thaa
sazaa ye hai ki miraa tiisha-e-hunar bhii gayaa
Aslam Mahmood
Sher
Allama Iqbal
Sher
ye alag baat ki mai.n nuuh nahii.n thaa lekin
mai.n ne kashtii ko Galat samt me.n bahne na diyaa
Azhar Inayati
Sher
mujhe ye zo.am ki mai.n husn kaa musavvir huu.n
unhe.n ye naaz ki tasviir to hamaarii hai
Shabnam Rumani
Sher
Zubair Farooq
Sher
aate jaate pal ye kahte hai.n hamaare kaan me.n
kuuch kaa ailaan hone ko hai tayyaarii rakho
Rahat Indori
Sher
'zafar' hai behtarii is me.n ki mai.n KHamosh rahuu.n
khule zabaan to izzat kisii kii kyaa rah jaa.e
Sabir Zafar
Sher
parvaane kii tapish ne KHudaa jaane kaan me.n
kyaa kah diyaa ki sham.a ke sar se dhu.aa.n uThaa
Ismail Merathi
Sher
dekhoge ki mai.n kaisaa phir shor machaataa huu.n
tum ab ke namak mere zaKHmo.n pe chhi.Dak dekho