SEARCH RESULTS
Showing search results for "kishan"
Sher MATCHES FOR "kishan"
Sher
hafte me.n hai.n din saat magar saat dino.n me.n
sirf ek hii itvaar hai maaluum nahii.n kyuu.n
Kishan lal Khandaan Dehlvi
Sher
dil me.n jab se dekhtaa hai vo tirii tasviir ko
nuur barsaataa hai apnii chashm-e-tar se aaftaab
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Sher
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
dil-lagii ke vaaste dehlii me.n hai maTiyaa-mahal
kaun jaave KHaak u.Daane mulk-e-biikaaner ko
Kishan lal Talib dehlvi
Sher
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Sher
gar husn-e-gandumii tiraa un ko na thaa pasand
aadam ne chho.Daa kis liye baaG-e-bahisht ko
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
baiThe jo us galii me.n na mar kar bhii uTThe ham
ik Dher gir ke ho ga.e diivaar kii tarah
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
ba-qaid-e-vaqt pa.Dhii mai.n ne pa.njgaana namaaz
sharaab piine me.n kuchh ehtiyaat mujh ko nahii.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
chhuptaa nahii.n hai dil me.n kabhii raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahii.n taab sang me.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
kuchh Gam firaaq kaa hai na kuchh vasl kii KHushii
huu.n us ke zauq-o-shauq me.n masruur raat din
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
mai.n kahuu.n aap tumhe.n aap kahe.n tum mujh ko
tum jataate nahii.n kis roz tahakkum mujh ko
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
bahut dino.n se huu.n aamad kaa apnii chashm-ba-raah
tumhaaraa le gayaa ai yaar intizaar kahaa.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
yaar ne KHatt-o-kabuutar ke kiye hai.n Tuk.De
purze kaaGaz ke kare.n jam.a ki par jam.a kare.n