SEARCH RESULTS
Showing search results for "kushto"
Sher MATCHES FOR "kushto"
Sher
Khumar Barabankavi
Sher
jab bhii kashtii mirii sailaab me.n aa jaatii hai
maa.n du.aa kartii hu.ii KHvaab me.n aa jaatii hai
Munawwar Rana
Sher
Allama Iqbal
Sher
aa.nkho.n me.n rahaa dil me.n utar kar nahii.n dekhaa
kashtii ke musaafir ne samundar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
suurmaa jis ke kinaaro.n se palaT aate hai.n
mai.n ne kashtii ko utaaraa hai usii paanii me.n
Sarvat Husain
Sher
kashtii-e-mai ko hukm-e-ravaanii bhii bhej do
jab aag bhej dii hai to paanii bhii bhej do
Josh Malihabadi
Sher
maut ke darinde me.n ik kashish to hai 'sarvat'
log kuchh bhii kahte ho.n KHud-kushii ke baare me.n
Sarvat Husain
Sher
mai.n kashtii me.n akelaa to nahii.n huu.n
mire hamraah dariyaa jaa rahaa hai
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
Nida Fazli
Sher
tuu ne kahaa na thaa ki mai.n kashtii pe bojh huu.n
aa.nkho.n ko ab na Dhaa.np mujhe Duubte bhii dekh
Shakeb Jalali
Sher
iraada to nahii.n hai KHud-kushii kaa
magar mai.n zindagii se KHush nahii.n huu.n
Vikas Sharma Raaz
Sher
Qateel Shifai
Sher
KHud-kushii jurm bhii hai sabr kii tauhiin bhii hai
is liye ishq me.n mar mar ke jiyaa jaataa hai
Ibrat Siddiqui
Sher
ye zindagii jo pukaare to shak saa hotaa hai
kahii.n abhii to mujhe KHud-kushii nahii.n karnii
Swapnil Tiwari
Sher
Gariib-e-shahr to faaqe se mar gayaa 'aarif'
amiir-e-shahr ne hiire se KHud-kushii kar lii
Arif Shafiq
Sher
dariyaa ke talaatum se to bach saktii hai kashtii
kashtii me.n talaatum ho to saahil na milegaa