SEARCH RESULTS
Showing search results for "lachaknaa"
Sher MATCHES FOR "lachaknaa"
Sher
dukh apnaa agar ham ko bataanaa nahii.n aataa
tum ko bhii to andaaza lagaanaa nahii.n aataa
Waseem Barelvi
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
hamdamo dil ke lagaane me.n kaho lagtaa hai kyaa
par chhu.Daanaa is kaa mushkil hai lagaanaa sahl hai
Bahadur Shah Zafar
Sher
samajh ke aag lagaanaa hamaare ghar me.n tum
hamaare ghar ke baraabar tumhaaraa bhii ghar hai
Hafeez Banarasi
Sher
ko.ii dil-lagii dil lagaanaa nahii.n hai
qayaamat hai ye dil kaa aanaa nahii.n hai
Dattatriya Kaifi
Sher
ain-fitrat hai ki jis shaaKH pe phal aa.e.nge
inkisaarii se vahii shaaKH lachak jaa.egii
Divakar Rahi
Sher
us kii bechainii ba.Dhaanaa chaahtii huu.n
suniye kah kar chup lagaanaa chaahtii huu.n
Pooja Bhatiya
Sher
allaah-re naazukii ye chamelii kaa ek phuul
sar par jo rakh diyaa to kamar tak lachak ga.ii
Unknown
Sher
thaa zahr ko ho.nTo.n se lagaanaa hii munaasib
varna ye mirii tishna-labii kam nahii.n hotii
aqeel nomani
Sher
us ke jazbaat se yuu.n khel rahaa huu.n 'saaGar'
jaise paanii me.n ko.ii aag lagaanaa chaahe
Saghar Azmi
Sher
roz-e-jazaa me.n aaKHir puuchhaa na jaa.egaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
Ismail Merathi
Sher
safar nigal ga.e ham ko vagarna ham ne bhii
kahii.n pahu.nch ke kisii ko gale lagaanaa thaa
Aqeel Abbas
Sher
Maroof Dehlvi
Sher
Ameer Minai
Sher
KHuun miraa kar ke lagaanaa na hinaa mere ba.ad
dast ra.ngii.n na ho.n a.ngusht-numaa mere ba.ad