SEARCH RESULTS
Showing search results for "lahsan"
Sher MATCHES FOR "lahsan"
Sher
kitne lahjo.n ke Gilaafo.n me.n chhupaa.uu.n tujh ko
shahr vaale miraa mauzuu-e-suKHan jaante hai.n
Mohsin Naqvi
Sher
aahaT sii ko.ii aa.e to lagtaa hai ki tum ho
saaya ko.ii lahraa.e to lagtaa hai ki tum ho
Jan Nisar Akhtar
Sher
hausla hai to safiino.n ke alam lahraa.o
bahte dariyaa to chale.nge isii raftaar ke saath
Shahzad Ahmad
Sher
Saqi Faruqi
Sher
saahil se sunaa karte hai.n lahro.n kii kahaanii
ye Thahre hu.e log baGaavat nahii.n karte
Khursheed Akbar
Sher
ik mai.n huu.n ki lahro.n kii tarah chain nahii.n hai
ik vo hai ki KHaamosh samundar kii tarah hai
Ahmad Ziya
Sher
Behzad Lakhnavi
Sher
larzaa.n hai kisii KHauf se jo shaam kaa chehra
aa.nkho.n me.n ko.ii KHvaab pirone nahii.n detaa
Parkash Fikri
Sher
Sahar Ansari
Sher
dam-ba-dam uThtii hai.n kis yaad kii lahre.n dil me.n
dard rah rah ke ye karvaT sii badaltaa kyaa hai
Jamal Panipati
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
jo Duubnaa hai to itne sukuun se Duubo
ki aas-paas kii lahro.n ko bhii pataa na lage
Qaisarul Jafri
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
parvaana gird ghuum ke jab ho chukaa fanaa
ab saarii raat sham.a lagan me.n jalii to kyaa
Sabt Md. Hadi Shams
Sher
Zubair Rizvi
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Sher
tez dhuup me.n aa.ii aisii lahar sardii kii
mom kaa har ik putlaa bach gayaa pighalne se
Qateel Shifai
Sher
bosaa.n labaa.n sii.n dene kahaa kah ke phir gayaa
pyaala bharaa sharaab kaa afsos gir gayaa