SEARCH RESULTS
Showing search results for "laj-paal"
Sher MATCHES FOR "laj-paal"
Sher
nazar jhuk rahii hai KHamoshii hai lab par
hayaa hai adaa hai ki an-ban hai kyaa hai
Kausar Mazhari
Sher
na aa.nkho.n me.n aa.nsuu na lab par tabassum
mohabbat me.n aise bhii lamhaat aa.e
Talib Jaipuri
Sher
tumhaaraa naam kisii ajnabii ke lab par thaa
zaraa sii baat thii dil ko magar lagii hai bahut
Sadique Naseem
Sher
aa.nsuu mirii aa.nkho.n me.n hai.n naale mire lab par
saudaa mire sar me.n hai tamannaa mire dil me.n
Bekhud Badayuni
Sher
un ke lab par zikr aayaa be-hijaabaana meraa
manzil-e-takmiil tak pahu.nchaa ab afsaana meraa
Natiq Lakhnavi
Sher
zaahiran tasviir me.n lab par ha.nsii to hai magar
ai musavvir tujh ko to ma.aluum hai andar kaa dukh
Amit Goswami
Sher
aa gayaa thaa ek din lab par jafaa.o.n kaa gilaa
aaj tak jab un se milte hai.n to sharmaate hai.n ham
Shafiq Jaunpuri
Sher
Ahtamam Sadiq
Sher
tujh se dil me.n jo gila thaa vo na laa.e lab par
phir se ham bhar ga.e zaKHmo.n ko haraa kyaa karte
Fayyaz Farooqi
Sher
dam kaa aanaa to ba.Dii baat hai lab par 'aarif'
zo.af ne harf-e-shikaayat kabhii aane na diyaa
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
kisii ke lahje kii yaKH-bastagii qayaamat thii
ThiThur ke rah gayaa lab par savaal kaa mausam
Arshi Malik
Sher
dono.n bahr-e-shola-e-zaat dono.n asiir-e-anaa
dariyaa ke lab par paanii dasht ke lab par pyaas