SEARCH RESULTS
Showing search results for "lamha-e-fikr"
Sher MATCHES FOR "lamha-e-fikr"
Sher
vo aa.e bazm me.n itnaa to 'fikr' ne dekhaa
phir is ke baa'd charaaGo.n me.n raushnii na rahii
Altaf-ur-rehman Fikr Yazdani
Sher
gar sukuu.n chaahiye is lamha-e-maujuud me.n bhii
aa.o is lamha-e-maujuud se baahar nikle.n
Wasi Shah
Sher
hame.n to yaad nahii.n ko.ii lamha-e-ishrat
kabhii tumhii.n ne kisii din ha.nsaa diyaa hogaa
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi
Sher
tamaam ishq kii mohlat hai is aa.nkho.n me.n
aur ek lamha-e-imkaan bhii ziyaada nahii.n
Vipul Kumar
Sher
tirii jabii.n pe jo ik baar jagmagaayaa thaa
vo ik sitaara mere lamha-e-visaal me.n hai
Nusrat Zehra
Sher
tah kar chuke bisaat-e-Gam-o-fikr-e-rozgaar
tab KHaanqaah-e-ishq-o-mohabbat me.n aa.e hai.n
Amir Hamza Saqib
Sher
mujhe bhii lamha-e-hijrat ne kar diyaa taqsiim
nigaah ghar kii taraf hai qadam safar kii taraf
Shehpar Rasool
Sher
guzar gayaa hai ko.ii lamha-e-sharar kii tarah
abhii to mai.n use pahchaan bhii na paayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
jaane kis lamha-e-vahshii kii talab hai ki falak
dekhnaa chaahe mire shahr ko jangal kar ke
Aslam Kolsarii
Sher
tai ho chukii hai us se judaa.ii magar 'muniir'
tuu us ke saath lamha-e-inkaar tak to chal
Badr Muneer
Sher
havaa ke saath safar kaa na hausla thaa jise
sabhii ko KHauf usii lamha-e-sharar se thaa
Marghoob Hasan
Sher
ajiib dard saa us lamha-e-visaal me.n thaa
ki zaKHm se bhii ba.Daa karb indimaal me.n thaa
Iftikhar Haidar
Sher
Sakhawat Shameem
Sher
lamha-e-imkaan ko pahluu badalte dekhnaa
aatish-e-be-ra.ng me.n KHud ko pighalte dekhnaa
Tanveer Anjum
Sher
raat aa.nkho.n me.n hayaa le ke guzar jaatii thii
lamha-e-shauq bahut chii.n-ba-jabii.n rahtaa thaa
Mazhar Imam
Sher
vo jis ke haath se taqriib-e-dil-numaa.ii thii
abhii vo lamha-e-maujuud me.n nahii.n aayaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
quvvat-e-fikr bhii dii aise ki ik had me.n raho
ya.anii be-kaar samajhdaar banaa.e ga.e ham
Syed Zamin Abbas Kazmi
Sher
zaraa jo tez chale to ko.ii bhii saath na thaa
hisaar-e-fikr hii bas apnaa paasbaan hu.aa