SEARCH RESULTS
Showing search results for "lashkar"
Sher MATCHES FOR "lashkar"
Sher
is shaan se lauTe hai.n ga.nvaa kar dil-o-jaa.n ham
is taur to haare hu.e lashkar nahii.n aate
Mohsin Naqvi
Sher
Bashir Badr
Sher
jahaa.n jahaa.n bhii hai nahr-e-furaat kaa imkaa.n
vahii.n yaziid kaa lashkar dikhaa.ii detaa hai
Ameer Qazalbash
Sher
sab log apne apne qabiilo.n ke saath the
ik mai.n hii thaa ki ko.ii bhii lashkar miraa na thaa
Iftikhar Arif
Sher
kal jahaa.n zulm ne kaaTii thii.n saro.n kii fasle.n
nam hu.ii hai to usii KHaak se lashkar niklaa
Waheed Akhtar
Sher
Ahmad Shahryar
Sher
naam teraa bhii rahegaa na sitamgar baaqii
jab hai fir.aun na cha.ngez kaa lashkar baaqii
Anees Ansari
Sher
aaj khulaa dushman ke piichhe dushman the
aur vo lashkar is lashkar kii oT me.n thaa
Ghulam Husain Sajid
Sher
daulat-e-sar huu.n so har jiitne vaalaa lashkar
tasht me.n rakhtaa hai neze pe sajaataa hai mujhe
Irfan Siddiqi
Sher
dhaavaa bolegaa bahut jald KHizaa.n kaa lashkar
shaaKH ko neza karuu.n phuul ko talvaar karuu.n
Alok Yadav
Sher
abhii mujh me.n bahut himmat hai lekin
kisii haare hu.e lashkar me.n huu.n mai.n
Farhan Hanif Warsi
Sher
ai aql nikal jaa ki dhu.aa.n aah kaa nahii.n hai
ye ishq ke lashkar kii sipaahii nazar aa.ii
Siraj Aurangabadi
Sher
sipah-garii kaa hunar bhii suKHan-varii bhii ho
mai.n chaahtaa huu.n ki lashkar bhii ho parii bhii ho
Aqeel Abbas
Sher
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
ranj-o-Gam aur alam-o-dard kaa lashkar nikle
ishq to tab hai jab aa.nkho.n se samandar nikle
Manzar Suhai
Sher
Gam-o-andoh kaa lashkar bhii chalaa aataa hai
ek gho.D-dau.D sii hai umr-e-gurezaa.n ke qariib
Natiq Gulavthi
Sher
din taal baajtaa hai hotii hai jab savaarii
lashkar me.n raag shab kuu.n uu.nTo.n kaa hai u.Daanaa