SEARCH RESULTS
Showing search results for "lashkar-e-mizhgaa.n"
Sher MATCHES FOR "lashkar-e-mizhgaa.n"
Sher
KHayaal us saf-e-mizhgaa.n kaa dil me.n aa.egaa
hamaare mulk me.n bhartii sipaah kii hogii
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
shaaKH-e-mizhgaa.n pe mahakne lage zaKHmo.n ke gulaab
pichhle mausam kii mulaaqaat kii buu zinda hai
Shahid Kamal
Sher
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
ik aag phir bha.Dak uTThii hai diida o dil me.n
kuchh ashk phir sar-e-mizhgaa.n dikhaa.ii dete hai.n
Shahzad Ahmad
Sher
raat-din baazuu-e-mizhgaa.n pe ba.ndhaa rahtaa hai
hai miraa ashk mire diida-e-tar kaa ta.aviiz
Naseem Dehlvi
Sher
ishq-e-mizhgaa.n me.n hazaaro.n ne gale kaTvaa.e
iid-e-qurbaa.n me.n jo vo le ke chhurii baiTh gayaa
Shad Lakhnavi
Sher
kyaa mire haal pe sach-much unhe.n Gam thaa qaasid
tuu ne dekhaa thaa sitaara sar-e-mizhgaa.n ko.ii
Unknown
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Shah Naseer
Sher
Unknown
Sher
mast haathii hai tirii chashm-e-siyah-mast ai yaar
saf-e-mizhgaa.n use ghere hu.e hai bhaalo.n se
Haidar Ali Aatish
Sher
Shaikh Qudratullah Qudrat
Sher
ek ek qatre kaa mujhe denaa pa.Daa hisaab
KHuun-e-jigar vadii.at-e-mizhgaan-e-yaar thaa
Mirza Ghalib
Sher
Hanif Fauq
Sher
ho gayaa aa.ina-e-haal bhii gard-aaluuda
god me.n laasha-e-maazi ko liye baiThaa huu.n
Siraj Lakhnavi
Sher
daulat-e-sar huu.n so har jiitne vaalaa lashkar
tasht me.n rakhtaa hai neze pe sajaataa hai mujhe
Irfan Siddiqi
Sher
itnii to mujh ko sair-e-chaman kii havas na thii
par dil kii bekalii se mai.n laachaar ho gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
zi-bas KHuun-e-Galiiz aa.nkho.n se aayaa
hu.ii.n aaKHir baham mizhgaan-e-tar band