SEARCH RESULTS
Showing search results for "lauh-e-aalam"
Sher MATCHES FOR "lauh-e-aalam"
Sher
vo un kaa va.ada vo iifaa-e-ahd kaa aalam
ki yaad bhii nahii.n aataa hai bhuultaa bhii nahii.n
Alam Muzaffar Nagari
Sher
'aalam' dil-e-asiir ko samjhaa.uu.n kis tarah
kam-baKHt e'tibaar ke qaabil nahii.n hai vo
Alam Khursheed
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahe.nge
jo dil pe guzartii hai raqam karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
aql thak kar lauT aa.ii jaada-e-aalaam se
ab junuu.n aaGaaz farmaa.egaa is anjaam se
Amir Usmani
Sher
itnaa likhaa.iyo mirii lauh-e-mazaar par
yaa.n tak na zii-hayaat ko ko.ii KHafaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
hamaaraa sher bhii lauh-e-tilism hai shaayad
har ek ruKH se hame.n be-naqaab kartaa hai
Sarfraz Danish
Sher
lauh-e-jahaa.n pe is tarah likkhaa gayaa huu.n me.n
jis kaa ko.ii javaab nahii.n vo savaal huu.n
Khaleel Tanveer
Sher
jamhuuriyat bhii turfa-tamaasha kaa kis qadar
lauh-o-qalam kii jaan yad-e-aharman me.n hai
Bebak Bhojpuri
Sher
KHud apnii lauh-e-tamannaa pe khil ke dekhuu.ngaa
kisii ke jabr ne likkhaa thaa raa.egaa.n mujh ko
Abul Hasanat Haqqi
Sher
chhiin lenaa yaa-KHudaa mujh se mire lauh-o-qalam
gar zavaal aa.e mire ash.aar ke me.aar me.n
Sada Ambalvi
Sher
hairaa.n na ho sar dekh miraa apnii zamii.n par
dekho to likhaa kyaa hai mirii lauh-e-jabii.n par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ham gardish-e-girdaab-e-alam se nahii.n Darte
tuufaa.n hai agar aaj kinaara bhii to hogaa
Athar Raz
Sher
yaa-rab zamaana mujh ko miTaataa hai kis liye
lauh-e-jahaa.n pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Sher
yahaa.n na peT hii is shaa.erii se bhartaa hai
yahaa.n na qaum hii lauh-o-qalam se jaagtii hai