SEARCH RESULTS
Showing search results for "lazzat-e-dard-e-nihaa.n"
Sher MATCHES FOR "lazzat-e-dard-e-nihaa.n"
Sher
lazzat-e-dard-e-mohabbat nahii.n hotii jis me.n
dil vo miTTii kaa vo miTTii kaa jigar hotaa hai
Jaleel Manikpuri
Sher
lazzat-e-dard-e-mohabbat jo numaayaa.n ho jaa.e
har farishte ko ye hasrat ho ki insaa.n ho jaa.e
Nisar yaar Jang Mizaj
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
'mus.hafii' kyuu.nke chhupe un se miraa dard-e-nihaa.n
yaar to baat ke andaaz se paa jaate hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
lazzat-e-dard milii jurm-e-mohabbat me.n use
vo sazaa paa.ii hai dal ne ki KHataa jhuum uThii
Akhtar Muslimi
Sher
lazzat-e-dard milii ishrat-e-ehsaas milii
kaun kahtaa hai ham us bazm se naakaam aa.e
Ali Jawad Zaidi
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
faanii davaa-e-dard-e-jigar zahr to nahii.n
kyuu.n haath kaa.nptaa hai mire chaarasaaz kaa
Fani Badayuni
Sher
chaman me.n shiddat-e-dard-e-numuud se Gunche
ta.Dap rahe hai.n magar muskuraa.e jaate hai.n
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
'anvar' ne badle jaan ke lii jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye saudaa giraa.n na thaa
Anwar Dehlvi
Sher
ham ga.e the us se karne shikva-e-dard-e-firaaq
muskuraa kar us ne dekhaa sab gila jaataa rahaa
Josh Malihabadi
Sher
kishvar-e-dil ab makaan-e-dard-o-daaG-o-yaas hai
ishq ke haakim ne biThlaa.e hai.n yaa.n thaane ka.ii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sab apnaa haal kahte rahe chaarasaaz se
mai.n thaa ki mahv-e-lazzat-e-dard-e-jigar rahaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Ibn e Insha
Sher
hujuum-e-ranj-o-Gam-o-dard hai maruu.n kyuu.nkar
qadam uThaa.uu.n jo aage kushaada raah mile