SEARCH RESULTS
Showing search results for "lens"
Sher MATCHES FOR "lens"
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
hame.n hai shauq ki be-parda tum ko dekhe.nge
tumhe.n hai sharm to aa.nkho.n pe haath dhar lenaa
Dagh Dehlvi
Sher
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuu.n kar le.n
kisii rote hu.e bachche ko ha.nsaayaa jaa.e
Nida Fazli
Sher
itne hijaabo.n par to ye aalam hai husn kaa
kyaa haal ho jo dekh le.n parda uThaa ke ham
Jigar Moradabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Bashir Badr
Sher
a.ng.Daa.ii bhii vo lene na paa.e uThaa ke haath
dekhaa jo mujh ko chho.D diye muskuraa ke haath
Nizam Rampuri
Sher
Mushtaq Husain Khan Hashmi Mushtaq
Sher
Javed Akhtar
Sher
hamaare shahr ke logo.n kaa ab ahvaal itnaa hai
kabhii aKHbaar pa.Dh lenaa kabhii aKHbaar ho jaanaa
Ada Jafarey
Sher
ye ek pe.D hai aa is se mil ke ro le.n ham
yahaa.n se tere mire raaste badalte hai.n
Bashir Badr
Sher
ik Duubtii dha.Dkan kii sadaa log na sun le.n
kuchh der ko bajne do ye shahnaa.ii zaraa aur