SEARCH RESULTS
Showing search results for "lete"
Sher MATCHES FOR "lete"
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ma.aluum jo hotaa hame.n anjaam-e-mohabbat
lete na kabhii bhuul ke ham naam-e-mohabaat
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
KHvaab, ummiid, tamannaa.e.n, ta.alluq, rishte
jaan le lete hai.n aaKHir ye sahaare saare
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
duur rahtii hai.n sadaa un se balaa.e.n saahil
apne maa.n baap kii jo roz du.aa lete hai.n
Mohammad Ali Sahil
Sher
mai pii ke jo girtaa hai to lete hai.n use thaam
nazro.n se giraa jo use phir kis ne sambhaalaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
Safi Aurangabadi
Sher
masruuf hai.n kuchh itne ki ham kaar-e-mohabbat
aaGaaz to kar lete hai.n jaarii nahii.n rakhte
Abbas Tabish
Sher
dekh lete jo mire dil kii pareshaanii ko
aap baiThe hu.e zulfe.n na sa.nvaaraa karte
Jaleel Manikpuri
Sher
dil to lete ho magar ye bhii rahe yaad tumhe.n
jo hamaaraa na hu.aa kab vo tumhaaraa hogaa
Bekhud Dehlvi
Sher
tandurustii se to behtar thii mirii biimaarii
vo kabhii puuchh to lete the ki haal achchhaa hai
Hafeez Jaunpuri
Sher
log nafrat kii fazaa.o.n me.n bhii jii lete hai.n
ham mohabbat kii havaa se bhii Daraa karte hai.n