SEARCH RESULTS
Showing search results for "libaas-e-ma.aanii"
Sher MATCHES FOR "libaas-e-ma.aanii"
Sher
talaash-e-ma.ani-e-maqsuud itnii sahl na thii
mai.n lafz lafz utartaa gayaa bahut gahraa
Faza Ibn e Faizi
Sher
tuu hai ma.anii parda-e-alfaaz se baahar to aa
aise pas-manzar me.n kyaa rahnaa sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ai 'fazaa' itnii kushaada kab thii ma.anii kii jihat
mere lafzo.n se ufuq ik duusraa raushan hu.aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
pahu.nchaayaa taa-ba-kaaba-e-maqsuud faqr ne
tark-e-libaas-e-jaama-e-ehraam ho gayaa
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
imtiyaaz-e-suurat-o-ma.anii se begaana hu.aa
aa.ine ko aa.ina hairaa.n ko hairaa.n dekh kar
Yagana Changezi
Sher
ham aise baKHt ke maare ki shahr me.n aa kar
libaas-e-gardish-e-dauraa.n bhii taar taar kiyaa
Ahmar Nadeem
Sher
guftuguu-e-suurat-o-ma.anii hai unvaan-e-hayaat
khelte hai.n vo mirii fitrat kii hairaanii ke saath
Akhtar Ali Akhtar
Sher
jaama uryaanii kaa qaamat par mirii aayaa hai raast
ab mujhe naam-e-libaas-e-aariyat se na.ng hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
libaas-e-Gair pe u.nglii uThaane se pahle
girebaa.n apnii nazar me.n rahe to achchhaa hai
Unknown
Sher
Meer Anees
Sher
navaah-e-lafz-o-ma.aanii me.n guu.nj hai kis kii
ko.ii bataa.e ye 'amjad' ki ham bataa.e.nge
Ghufran Amjad
Sher
pech de de lafz o ma.anii ko banaate hai.n kulaft
aur vo phir us pe rakhte hai.n gumaan-e-reKHta
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tah-daarii-e-maa'nii hii na ho gar to Gazal kyaa
vo she'r bhii kyaa jis me.n ishaarat nahii.n miltii
Dr. Ajaz Rasool
Sher
mujh ko ataa hu.aa hai ye kaisaa libaas-e-ziist
ba.Dhte hai.n jis ke chaak baraabar rafuu ke saath
Shakeel Jazib
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Gulzar Bukhari
Sher
Gazab hai ruuh se is jaama-e-tan kaa judaa honaa
libaas-e-ta.ng hai utregaa aaKHir dhajjiyaa.n ho kar
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
har rang har aaha.ng mire saamne aajiz
mai.n koh-e-ma.aanii kii bulandii pe kha.Daa huu.n