SEARCH RESULTS
Showing search results for "likh"
Sher MATCHES FOR "likh"
Sher
bechain is qadar thaa ki soyaa na raat bhar
palko.n se likh rahaa thaa tiraa naam chaa.nd par
Unknown
Sher
qaasid ke aate aate KHat ik aur likh rakhuu.n
mai.n jaantaa huu.n jo vo likhe.nge javaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
Zubair Rizvi
Sher
bhej dii tasviir apnii un ko ye likh kar 'shakiil'
aap kii marzii hai chaahe jis nazar se dekhiye
Shakeel Badayuni
Sher
Rahat Indori
Sher
likhne ko likh rahe hai.n Gazab kii kahaaniyaa.n
likkhii na jaa sakii magar apnii hii daastaa.n
Ibn-e-Safi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
'majruuh' likh rahe hai.n vo ahl-e-vafaa kaa naam
ham bhii kha.De hu.e hai.n gunahgaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Sher
ye vaqt band dariicho.n pe likh gayaa 'qaisar'
mai.n jaa rahaa huu.n miraa intizaar mat karnaa
Qaisarul Jafri
Sher
Diary me.n saare achchhe sher chun kar likh liye
ek la.Dkii ne miraa diivaan KHaalii kar diyaa
Aitbar Sajid
Sher
ro.e.nge dekh kar sab bistar kii har shikan ko
vo haal likh chalaa huu.n karvaT badal badal kar
Qamar Jalalvi
Sher
jis zaKHm kii ho saktii ho tadbiir rafuu kii
likh diijiyo yaa rab use qismat me.n aduu kii
Mirza Ghalib
Sher
zalzala aayaa aur aa kar ho gayaa ruKHsat magar
vaqt ke ruKH par tabaahii kii ibaarat likh gayaa
Faraz Hamidi
Sher
Hakeem Manzoor
Sher
ham ko bachpan hii se ik shauq thaa barbaadii se
naam likh likh ke miTaate the zamii.n par apnaa
Ameer Raza Mazhari
Sher
mujhe ta.aviiz likh do KHuun-e-aahuu se ki ai syaano
taGaaful ToTkaa hai aur jaaduu hai nazar us kii