SEARCH RESULTS
Showing search results for "luTaa.e.n"
Sher MATCHES FOR "luTaa.e.n"
Sher
tuu itnii dil-zada to na thii ai shab-e-firaaq
aa tere raaste me.n sitaare luTaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
Shahab Jafri
Sher
ham Gam-zada hai.n laa.e.n kahaa.n se KHushii ke giit
de.nge vahii jo paa.e.nge is zindagii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
siine se lagaa.e.n tumhe.n armaan yahii hai
jiine kaa mazaa hai to mirii jaan yahii hai
Akbar Allahabadi
Sher
bosa jo talab mai.n ne kiyaa ha.ns ke vo bole
ye husn kii daulat hai luTaa.ii nahii.n jaatii
Unknown
Sher
kahiye to aasmaa.n ko zamii.n par utaar laa.e.n
mushkil nahii.n hai kuchh bhii agar Thaan liijiye
Shahryar
Sher
aap aa.e to bahaaro.n ne luTaa.ii KHushbuu
phuul to phuul the kaa.nTo.n se bhii aa.ii KHushbuu
Unknown
Sher
dil ke luTne kaa sabab puuchho na sab ke saamne
naam aa.egaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii
Masroor Anwar
Sher
kaash lauTe.n mire paapaa bhii khilaune le kar
kaash phir se mire haatho.n me.n KHazaana aa.e
Ajay Sahaab
Sher
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
KHatm ho jaa.e.n jinhe.n dekh ke biimaari-e-dil
Dhuu.nD kar laa.e.n kahaa.n se vo masiihaa chehre
Jameel Malik
Sher
duniyaa badal rahii hai zamaane ke saath saath
ab roz roz dekhne vaalaa kahaa.n se laa.e.n
Iftikhar Arif
Sher
sukuun luTtaa rahegaa fazaa hii aisii hai
tumhaare shahr kii aab-o-havaa hii aisii hai
Asad Rizvi
Sher
ye bhii nayaa sitam hai hinaa to lagaa.e.n Gair
aur us kii daad chaahe.n vo mujh ko dikhaa ke haath
Nizam Rampuri
Sher
bam phaTe log mare KHuun bahaa shahr luTe
aur kyaa likkhaa hai aKHbaar me.n aage pa.Dhiye