SEARCH RESULTS
Showing search results for "lubb-e-lubaab"
Sher MATCHES FOR "lubb-e-lubaab"
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
ahd ke baa'd liye bose dahan ke itne
ki lab-e-zuud-pashiimaa.n ko mukarne na diyaa
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
lab-e-mai-guu.n kaa taqaazaa hai ki jiinaa hogaa
aa.nkh kahtii hai tujhe zahr bhii piinaa hogaa
Riyaz Khairabadi
Sher
duniyaa kaa KHuun daur-e-mohabbat me.n hai safed
aavaaz aa rahii hai lab-e-juu-e-shiir se
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
lab-e-KHirad se yahii baar baar niklegaa
nikaalne hii se dil kaa Gubaar niklegaa
Kalidas Gupta Raza
Sher
chaa.e me.n Daal kar ushshaaq use pii jaate
dar-haqiiqat lab-e-ma.ashuuq jo shakkar hotaa
Zareef Lakhnavi
Sher
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
ham ne us ke lab o ruKHsaar ko chhuu kar dekhaa
hausle aag ko gulzaar banaa dete hai.n
Qabil Ajmeri
Sher
qad o gesuu lab-o-ruKHsaar ke afsaane chale
aaj mahfil me.n tire naam pe paimaane chale
Ahmad Rahi
Sher
ham jo pahu.nche to lab-e-gor se aa.ii ye sadaa
aa.iye aa.iye hazrat bahut aazaad rahe
Ameer Minai
Sher
juu-e-naGmaat pe tasviir sii larzaa.n dekhii
lab-e-tasviir pe Thahraa hu.aa naGma dekhaa
Aslam Ansari
Sher
kahii.n pe dast-e-nigaarii.n kahii.n lab-e-laalii.n
vo sote sote mirii nii.nd kaa uchaT jaanaa
Syed Amin Ashraf
Sher
yaa guftuguu ho un lab-o-ruKHsaar-o-zulf kii
yaa un KHamosh nazro.n ke lutf-e-suKHan kii baat