SEARCH RESULTS
Showing search results for "ma.ngto.n"
Sher MATCHES FOR "ma.ngto.n"
Sher
qubuul kaise karuu.n un kaa faisla ki ye log
mire KHilaaf hii meraa bayaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
jo dost hai.n vo maa.ngte hai.n sulh kii du.aa
dushman ye chaahte hai.n ki aapas me.n ja.ng ho
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Abbas Rizvi
Sher
shaame.n kisii ko maa.ngtii hai.n aaj bhii 'firaaq'
go zindagii me.n yuu.n mujhe ko.ii kamii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
mohabbate.n to faqat intihaa.e.n maa.ngtii hai.n
mohabbato.n me.n bhalaa e'tidaal kyaa karnaa
Hasan Abbas Raza
Sher
subuut maa.ngte hai.n vo mirii vafaa kaa 'jalaal'
har ik se tark-e-ta.alluq kiyaa hai jin ke liye
Qasim Jalal
Sher
Aagha Akbarabadi
Sher
na.ii fazaa ke parinde hai.n kitne matvaale
ki baal-o-par se bhii pahle u.Daan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
vo mere paa.nv ko chhuune jhukaa thaa jis lamhe
jo maa.ngtaa use detii amiir aisii thii
Parveen Shakir
Sher
Ameer Minai
Sher
jo bhii de de vo karam se vahii le le 'naadir'
mu.nh se maa.ngo to KHudaa aur KHafaa hotaa hai