SEARCH RESULTS
Showing search results for "maaduud"
Sher MATCHES FOR "maaduud"
Sher
is vaqt vahaa.n kaun dhu.aa.n dekhne jaa.e
aKHbaar me.n pa.Dh le.nge kahaa.n aag lagii thii
Anwar Masood
Sher
dil sulagtaa hai tire sard ravayye se miraa
dekh ab barf ne kyaa aag lagaa rakkhii hai
Anwar Masood
Sher
samundaro.n ko bhii hairat hu.ii ki Duubte vaqt
kisii ko ham ne madad ke liye pukaaraa nahii.n
Iftikhar Arif
Sher
kis qadar mahduud kar detaa hai Gam insaan ko
KHatm kar detaa hai har ummiid har imkaan ko
Zeeshan Sahil
Sher
Anwar Masood
Sher
palko.n ke sitaare bhii u.Daa le ga.ii 'anvar'
vo dard kii aa.ndhii kii sar-e-shaam chalii thii
Anwar Masood
Sher
sirf mehnat kyaa hai 'anvar' kaamyaabii ke liye
ko.ii uupar se bhii telephone honaa chaahiye
Anwar Masood
Sher
kuchh na kahne se bhii chhin jaataa hai ejaaz-e-suKHan
zulm sahne se bhii zaalim kii madad hotii hai
Muzaffar Warsi
Sher
aasmaa.n apne iraado.n me.n magan hai lekin
aadmii apne KHayaalaat liye phirtaa hai
Anwar Masood
Sher
Hafeez Banarasi
Sher
aa.ina dekh zaraa kyaa mai.n Galat kahtaa huu.n
tuu ne KHud se bhii ko.ii baat chhupaa rakkhii hai