SEARCH RESULTS
Showing search results for "maamuun"
Sher MATCHES FOR "maamuun"
Sher
lafzo.n kaa KHazaana bhii kabhii kaam na aa.e
baiThe rahe.n likhne ko tiraa naam na aa.e
Khaleel Mamoon
Sher
aisaa ho zindagii me.n ko.ii KHvaab hii na ho
a.ndhiyaarii raat me.n ko.ii mahtaab hii na ho
Khaleel Mamoon
Sher
aise mar jaa.e.n ko.ii naqsh na chho.De.n apnaa
yaad dil me.n na ho aKHbaar me.n tasviir na ho
Khaleel Mamoon
Sher
har ek kaam hai dhoka har ek kaam hai khel
ki zindagii me.n tamaashaa bahut zaruurii hai
Khaleel Mamoon
Sher
hazaaro.n chaa.nd sitaare chamak ga.e hote
kabhii nazar jo tirii maa.il-e-karam hotii
Khaleel Mamoon
Sher
merii tarah se ye bhii sataayaa hu.aa hai kyaa
kyuu.n itne daaG dikhte hai.n mahtaab me.n abhii
Khaleel Mamoon
Sher
us ke bachche nahii.n thakte mujhe maamuu.n kahte
jis kii jaanib miraa ruj.haan thaa achchhaa-KHaasaa
Osama Muneer
Sher
chalnaa likhaa hai apne muqaddar me.n umr bhar
manzil hamaarii dard kii raaho.n me.n gum hu.ii
Khaleel Mamoon
Sher
dil me.n uma.ng aur iraada ko.ii to ho
be-kaif zindagii me.n tamaashaa ko.ii to ho
Khaleel Mamoon
Sher
mujhe pahu.nchnaa hai bas apne-aap kii had tak
mai.n apnii zaat ko manzil banaa ke chaltaa huu.n
Khaleel Mamoon
Sher
sirf chehra hii nazar aataa hai aa.iine me.n
aks-e-aa.iina nahii.n dikhtaa hai aa.iine me.n