SEARCH RESULTS
Showing search results for "maand"
Sher MATCHES FOR "maand"
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
buraa na maan 'ziyaa' us kii saaf-go.ii kaa
jo dard-mand bhii hai aur be-adab bhii nahii.n
Zia Jalandhari
Sher
vo aql-mand kabhii josh me.n nahii.n aataa
gale to lagtaa hai aaGosh me.n nahii.n aataa
Farhat Ehsas
Sher
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare
Allama Iqbal
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
tum sharaab pii kar bhii hosh-mand rahte ho
jaane kyuu.n mujhe aisii mai-kashii nahii.n aa.ii
Salam Machhli shahri
Sher
shaayad niyaaz-mand ko haasil niyaaz ho
hasrat se tak rahaa huu.n tirii rahguzar ko mai.n
Anwar Saharanpuri
Sher
Mukhtar Siddiqui
Sher
kis se kahuu.n mai.n haal-e-dil apnaa ki taa sune
is shahr me.n rahaa bhii ko.ii dard-ma.nd hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
tumhaaraa hijr manaa luu.n agar ijaazat ho
mai.n dil kisii se lagaa luu.n agar ijaazat ho
Jaun Eliya
Sher
Munawwar Rana
Sher
apne man me.n Duub kar paa jaa suraaG-e-zindagii
tuu agar meraa nahii.n bantaa na ban apnaa to ban
Allama Iqbal
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
ek muddat se mirii maa.n nahii.n so.ii 'taabish'
mai.n ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
Munawwar Rana
Sher
log kahte hai.n badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hai.n jo zamaane ko badal dete hai.n