SEARCH RESULTS
Showing search results for "maazii"
Sher MATCHES FOR "maazii"
Sher
maazii-e-marhuum kii naakaamiyo.n kaa zikr chho.D
zindagii kii fursat-e-baaqii se ko.ii kaam le
Seemab Akbarabadi
Sher
ik ajab aamad-o-shud hai ki na maazii hai na haal
'jaun' barpaa ka.ii naslo.n kaa safar hai mujh me.n
Jaun Eliya
Sher
band kar de ko.ii maazii kaa dariicha mujh par
ab is aa.iine me.n suurat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
ishq kii har daastaa.n me.n ek hii nukta milaa
ishq kaa maazii hu.aa kartaa hai mustaqbil nahii.n
Unknown
Sher
Akhtar Ansari
Sher
kanval Dibaivi
Sher
Maatam Fazl Mohammad
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
kuredtaa hai bahut raakh mere maazii kii
mai.n chuuk jaa.uu.n to vo u.ngliyaa.n jalaa legaa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
maazii se ubhrii.n vo zinda tasviire.n
utar gayaa sab nashsha na.e puraane kaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
haalat-e-haal se begaana banaa rakkhaa hai
KHud ko maazii kaa nihaa.n-KHaana banaa rakkhaa hai
Abbas Qamar
Sher
tamiiz-e-KHvaab-o-haqiiqat hai shart-e-bedaarii
KHayaal-e-azmat-e-maazii ko chho.D haal ko dekh
Sikandar Ali Wajd
Sher
yaad-e-maazii Gam-e-imroz umiid-e-fardaa
kitne saa.e mire hamraah chalaa karte hai.n
Shamim Karhani
Sher
sab ek dhund liye phir rahe hai.n aa.nkho.n me.n
kisii ke chehre pe maazii na haal dekhtaa huu.n
Khurshid Talab
Sher
yaad-e-maazii kii pur-asraar hasii.n galiyo.n me.n
mere hamraah abhii ghuum rahaa hai ko.ii