SEARCH RESULTS
Showing search results for "machle"
Sher MATCHES FOR "machle"
Sher
abhii kamsin hai.n zide.n bhii hai.n niraalii un kii
is pe machle hai.n ki ham dard-e-jigar dekhe.nge
Ameer Minai
Sher
aap pahluu me.n jo baiThe.n to sambhal kar baiThe.n
dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
safar me.n aise ka.ii marhale bhii aate hai.n
har ek mo.D pe kuchh log chhuuT jaate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
un ke ruKHsaar pe Dhalke hu.e aa.nsuu tauba
mai.n ne shabnam ko bhii sho.alo.n pe machalte dekhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
jab tujhe yaad kar liyaa sub.h mahak mahak uThii
jab tiraa Gam jagaa liyaa raat machal machal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
shaam aa.e aur ghar ke liye dil machal uThe
shaam aa.e aur dil ke liye ko.ii ghar na ho
Akhtar Usman
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
abhii hai.n qurb ke kuchh aur marhale baaqii
ki tujh ko paa ke hame.n phir tirii tamannaa hai
Tabish Dehlvi
Sher
mujh me.n saat samundar shor machaate hai.n
ek KHayaal ne dahshat phailaa rakkhii hai
Saqi Faruqi
Sher
phuul khile hai.n likhaa hu.aa hai to.Do mat
aur machal kar jii kahtaa hai chho.Do mat
Ameeq Hanafi
Sher
KHud apnii mastii hai jis ne machaa.ii hai halchal
nasha sharaab me.n hotaa to naachtii botal
Arif Jalali
Sher
Hasrat Mohani
Sher
achchhii suurat nazar aate hii machal jaataa hai
kisii aafat me.n na Daale dil-e-naashaad mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
kaisaa insaa.n taras rahaa hai jiine ko
kaise saahil par ik machhlii zinda hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
Sardar Asif
Sher
Iftikhar Arif
Sher
ai mire ghar kii fazaa.o.n se gurezaa.n mahtaab
apne ghar ke dar-o-diivaar ko kaise chho.Duu.n