SEARCH RESULTS
Showing search results for "mad.hosh"
Sher MATCHES FOR "mad.hosh"
Sher
mad.hosh hii rahaa mai.n jahaan-e-KHaraab me.n
guu.ndhii ga.ii thii kyaa mirii miTTii sharaab me.n
Muztar Khairabadi
Sher
jab se mu.nh ko lag ga.ii 'aKHtar' mohabbat kii sharaab
be-piye aaTho.n pahar madhosh rahnaa aa gayaa
Akhtar Ansari
Sher
kis tarah kare.n tujh se gila tere sitam kaa
mad.hosh ishaaro.n ne bhii dil to.D diyaa hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Sher
haa.e vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshii thii
haa.e ye vaqt ki ab pii ke bhii maKHmuur nahii.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
is Duubte suuraj se to ummiid hii kyaa thii
ha.ns ha.ns ke sitaaro.n ne bhii dil to.D diyaa hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
haal kah dete hai.n naazuk se ishaare akasr
kitnii KHaamosh nigaaho.n kii zabaa.n hotii hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
Mahesh Janib
Sher
taskiin de sake.nge na jaam-o-subuu mujhe
bechain kar rahii hai tirii aarzuu mujhe
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
mohabbat kaa un ko yaqii.n aa chalaa hai
haqiiqat bane jaa rahe hai.n fasaane
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
tasviir-e-zindagii me.n nayaa rang bhar ga.e
vo haadse jo dil pe hamaare guzar ga.e
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
un mast nigaaho.n ne KHud apnaa bharam kholaa
inkaar ke parde me.n iqraar nazar aa.e
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
mai-kashii gardish-e-ayyaam se aage na ba.Dhii
merii madhoshii mire jaam se aage na ba.Dhii
Hakeem Nasir
Sher
kaun samjhe ham pe kyaa guzrii hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
yuu.n ruuTh ke jaane pe mai.n KHaamosh huu.n lekin
ye baat mire dil ko gavaaraa to nahii.n hai