SEARCH RESULTS
Showing search results for "madiine"
Sher MATCHES FOR "madiine"
Sher
har na.ii nasl ko ik taaza madiine kii talaash
saahibo ab ko.ii hijrat nahii.n hogii ham se
Iftikhar Arif
Sher
sunnat hai ko.ii hijrat-e-saanii bhalaa bataa.o
jaataa hai ko.ii apne madiine ko chho.D kar
Liyaqat Ali Aasim
Sher
KHudaa kii itnii ba.Dii kaa.enaat me.n mai.n ne
bas ek shaKHs ko maa.ngaa mujhe vahii na milaa
Bashir Badr
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
ga.nvaa.ii kis kii tamannaa me.n zindagii mai.n ne
vo kaun hai jise dekhaa nahii.n kabhii mai.n ne
Jaun Eliya
Sher
aap ne tasviir bhejii mai.n ne dekhii Gaur se
har adaa achchhii KHamoshii kii adaa achchhii nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
mai.n ne chaahaa hai tujhe aam se insaa.n kii tarah
tuu miraa KHvaab nahii.n hai jo bikhar jaa.egaa
Waseem Barelvi
Sher
mai.n ne maa.ngii thii ujaale kii faqat ek kiran
tum se ye kis ne kahaa aag lagaa dii jaa.e
Zakia Ghazal
Sher
mai.n ne samjhaa thaa ki lauT aate hai.n jaane vaale
tuu ne jaa kar to judaa.ii mirii qismat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
Momin Khan Momin
Sher
Munawwar Rana
Sher
mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalte
hai ko.ii KHvaab kii taabiir bataane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
mai.n ne kahaa ki dekh ye mai.n ye havaa ye raat
us ne kahaa ki merii pa.Dhaa.ii kaa vaqt hai