SEARCH RESULTS
Showing search results for "mahkama"
Sher MATCHES FOR "mahkama"
Sher
tumhaare dil se kuduurat miTaa.e to jaane.n
khulaa hai shahr me.n ik mahkama safaa.ii kaa
Ismail Merathi
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
Krishn Bihari Noor
Sher
Shamim Abbas
Sher
gulshan-e-dahr se KHushbuu kii tarah guzraa mai.n
sab ko mahkaayaa magar apnii numaa.ish nahii.n kii
Minhaj Ali
Sher
jab mai-kada chhuTaa to phir ab kyaa jagah kii qaid
masjid ho madrasa ho ko.ii KHaanqaah ho
Mirza Ghalib
Sher
tishnagii hii tishnagii hai kis ko kahiye mai-kada
lab hii lab ham ne to dekhe kis ko paimaana kahe.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
na jaane kal ho.n kahaa.n saath ab havaa ke hai.n
ki ham parinde maqaamaat-e-gum-shuda ke hai.n
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ye mai-kada hai yahaa.n hai.n gunaah jaam-ba-dast
vo madrasa hai vo masjid vahaa.n milegaa savaab
Ali Sardar Jafri
Sher
KHud ko poshiida na rakkho band kaliyo.n kii tarah
phuul kahte hai.n tumhe.n sab log to mahkaa karo
Manzar Bhopali
Sher
mai-kada hai shaiKH saahab ye ko.ii masjid nahii.n
aap shaayad aa.e hai.n rindo.n ke bahkaa.e hu.e
Habeeb Moosavi
Sher
'ishq ab bhii hai vahii mahram-e-be-gaana-numaa
husn yuu.n laakh chhupe laakh numaayaa.n ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
tauba kha.Dii hai dar pe jo fariyaad ke liye
ye mai-kada bhii kyaa kisii qaazii kaa ghar hu.aa