SEARCH RESULTS
Showing search results for "mai-kada"
Sher MATCHES FOR "mai-kada"
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
vaa.iz KHataa-mu.aaf ki rindaan-e-mai-kada
dil ke sivaa kisii kaa kahaa maante nahii.n
Karam Hyderabadi
Sher
kii mohtasib ne aaj ye islaah-e-mai-kada
shiisho.n ko to.D to.D ke paimaana kar diyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Ehsan Danish
Sher
ho gayaa band dar-e-mai-kadaa kyaa qahr hu.aa
shauq-e-paa-bos-e-hasiinaa.n jo tujhe thaa ai dil
Ameer Minai
Sher
ham ne dekhaa taraf-e-mai-kada jaate the 'riyaaz'
ik asaa thaame abaa pahne amaama baa.ndhe
Riyaz Khairabadi
Sher
Ehsan Darbhangavi
Sher
Anand Narayan Mulla
Sher
Unknown
Sher
'riyaaz' tauba na TuuTe na mai-kada chhuuTe
zabaa.n kaa paas rahe vaz.a kaa nibaah rahe
Riyaz Khairabadi
Sher
tishnagii hii tishnagii hai kis ko kahiye mai-kada
lab hii lab ham ne to dekhe kis ko paimaana kahe.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
masjid ho madrasa ho ki majlis ki mai-kada
mahfuuz shar se kuchh hai to ghar hai chale-chalo
Waheed Akhtar
Sher
ye mai-kada hai kaliisaa o KHaanqaah nahii.n
uruuj-e-fikr o faroG-e-nazar kii manzil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
mai-kada hai shaiKH saahab ye ko.ii masjid nahii.n
aap shaayad aa.e hai.n rindo.n ke bahkaa.e hu.e