SEARCH RESULTS
Showing search results for "main ashok"
Sher MATCHES FOR "main ashok"
Sher
zaahidaa zohd tuu pa.Dhaa, mai.n ishq
hai mirii aur tirii kitaab me.n farq
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
chamak uThe mirii aa.nkho.n me.n ashk kii suurat
jo aag dil me.n hai raushan zabaa.n se zaahir ho
Ejaz Asif
Sher
is ma.arke me.n ishq bechaaraa karegaa kyaa
KHud husn ko hai.n jaan ke laale pa.De hu.e
Ahmad Mushtaq
Sher
safar me.n ishq ke ik aisaa marhala aayaa
vo Dhuu.nDtaa thaa mujhe aur kho gayaa thaa mai.n
Saleem Ahmed
Sher
'sarshaar' mai.n ne ishq ke ma.anii badal diye
is aashiqii me.n pahle na thaa vasl kaa chalan
Sarshar Siddiqui
Sher
mire qalam kii siyaahii me.n 'ishq hai teraa
miraa ye naam ye shohrat tirii badaulat hai
Euphonic Amit
Sher
bhuuk me.n ishq kii tahziib bhii mar jaatii hai
chaa.nd aakaash pe thaalii kii tarah lagtaa hai
Shakeel Azmi
Sher
mohkme me.n ishq ke hai yaaro diivaane kaa shor
mere dil dene kaa Gul us ke mukar jaane kaa shor
Wali Uzlat
Sher
Meer Hasan
Sher
hamesha aag ke dariyaa me.n ishq kyuu.n utre
kabhii to husn ko Garq-e-azaab honaa thaa
Karamat Ali Karamat
Sher
is tarah bhes me.n aashiq ke chhupaa hai ma.ashuuq
jis tarah aa.nkh ke parde me.n nazar hotii hai
Jaleel Manikpuri
Sher
Abr Ahsani Ganauri
Sher
azaan de ke kiyaa mai.n ne 'ishq kaa aaGaaz
ki is safar me.n bhii aaKHir namaaz hotii hai
Hammad Younus
Sher
kuchh KHud bhii huu.n mai.n ishq me.n afsurda o Gamgii.n
kuchh talKHi-e-haalaat kaa ehsaas hu.aa hai
Naseem Shahjahanpuri
Sher
Gazab hu.aa ki in aa.nkho.n me.n ashk bhar aa.e
nigaah-e-yaas se kuchh aur kaam lenaa thaa
Ali Jawad Zaidi
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
rumuuz-e-ishq-o-mohabbat se aashnaa huu.n mai.n
kisii ko Gam-zada dekhaa to ro diyaa huu.n mai.n