SEARCH RESULTS
Showing search results for "malika"
Sher MATCHES FOR "malika"
Sher
Malika Naseem
Sher
Malika Naseem
Sher
vo la.Dkiyaa.n ki jo lagtii thii.n saada tahriire.n
pa.Dhii ga.ii.n to anokhii paheliyaa.n niklii.n
Malika Naseem
Sher
umr guzrii ik nigaah-e-lutf kii ummiid me.n
ham ko apne hauslo.n kii ye adaa achchhii lagii
Malika Naseem
Sher
Malika Naseem
Sher
har daur kaa jo aks hai vo aa.ina hai.n ham
taKHliiq-e-kaa.enaat kaa ik silsila hai.n ham
Malika Naseem
Sher
nazar me.n yaado.n ke manzar sameT kar rakhnaa
mai.n jaisaa chho.D ke aa.ii huu.n vaisaa ghar rakhnaa
Malika Naseem
Sher
shiddat-e-tishna-labii aaj kahaa.n laa.ii hai
pyaas sahraa kii samundar me.n utar aa.ii hai
Malika Naseem
Sher
ham ne ye soch ke chhe.Daa thaa fasaana gul kaa
is bahaane hii tire zikr kaa pahluu nikle
Malika Naseem
Sher
Malika Naseem
Sher
havaa.e.n kartii hai.n sargoshiyaa.n sii aa.ngan me.n
na jaane aa.e.nge kis ke qadam charaaG jale
Malika Naseem
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
ham to tamaam umr tirii hii adaa rahe
ye kyaa hu.aa ki phir bhii hamii.n bevafaa rahe
Jameel Malik
Sher
is ghar kii saarii diivaare.n shiishe kii hai.n
lekin is ghar kaa maalik KHud ik patthar hai
Rasa Chughtai
Sher
kaise the log jin kii zabaano.n me.n nuur thaa
ab to tamaam jhuuT hai sachchaa.iyo.n me.n bhii
Jameel Malik
Sher
shahr KHaalii hai kise eid mubaarak kahiye
chal diye chho.D ke makka bhii madiina vaale
Akhtar Usman
Sher
kab vo aa.e.nge ilaahii mire mehmaa.n ho kar
kaun din kaun baras kaun mahiina hogaa