SEARCH RESULTS
Showing search results for "maljaa"
Sher MATCHES FOR "maljaa"
Sher
ab mujh ko ehtimaam se kiije supurd-e-KHaak
uktaa chukaa huu.n jism kaa malba uThaa ke mai.n
Dilawar Ali Aazar
Sher
KHaamoshii ke naaKHun se chhil jaayaa karte hai.n
ko.ii phir in zaKHmo.n par aavaaze.n maltaa hai
Ameer Imam
Sher
ham taur-e-ishq se to vaaqif nahii.n hai.n lekin
siine me.n jaise ko.ii dil ko malaa kare hai
Meer Taqi Meer
Sher
soch rahaa huu.n mai.n is kaa saudaa kar duu.n
us kii yaado.n kaa jo dil me.n malba hai
Amit Sharma Meet
Sher
tamaam umr tirii ham-rahii kaa shauq rahaa
magar ye ranj ki mai.n mauja-e-sabaa na hu.aa
Zaheer Kashmiri
Sher
kuchh na kuchh to hotaa hai ik tire na hone se
varna aisii baato.n par kaun haath maltaa hai
Hasan Abidi
Sher
mauja-e-ashk se bhiigii na kabhii nok-e-qalam
vo anaa thii ki kabhii dard na jii kaa likkhaa
Hasan Naim
Sher
navaaztaa thaa hamesha vo Gam kii daulat se
aur is KHazaane se mai.n maalaa maal ho hii gayaa
Ateeq Allahabadi
Sher
tamaam shahr hii jogii samajh rahaa hai mujhe
tumhaare dhyaan kii maalaa gale me.n kyaa pahnii
Dr. Yasin Aatir
Sher
aa.e bhii to khaa.e na gilaurii na malaa itr
rokii mirii daavat mujhe mehmaa.n se gilaa hai
Imdad Ali Bahr
Sher
zaahid ho aur taqvaa aabid ho aur musallaa
maalaa ho aur barhaman sahbaa ho aur ham ho.n
Taban Abdul Hai
Sher
sar par gire makaan kaa malba hii rakh liyaa
duniyaa ke qiimtii sar-o-saamaan se ga.e
Abid Wadood
Sher
hai irtibaat-shikan daa.ero.n me.n baT jaanaa
chaman kaa mauja-e-baad-e-sabaa se kaT jaanaa
Syed Amin Ashraf
Sher
ik imaarat mire baahar abhii to.Dii ga.ii thii
ek malba mire andar kahii.n bikhraa hu.aa hai
Moid Rasheedi
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
marja.a-e-gabr-o-musalmaa.n hai vo but naam-e-KHudaa
bhejte hai.n use hinduu o musalmaa.n kaaGaz