SEARCH RESULTS
Showing search results for "manaane"
Sher MATCHES FOR "manaane"
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
tumhe.n manaane kaa mujh ko KHayaal kyaa aa.e
ki apne aap se ruuThaa hu.aa to mai.n bhii huu.n
Ashfaq Husain
Sher
be-sabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai
ham KHafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
agar taqdiir siidhii hai to KHud ho jaa.oge siidhe
KHafaa baiThe raho tum ko manaane kaun aataa hai
Muztar Khairabadi
Sher
kisii kii yaad manaane me.n iid guzregii
so shahr-e-dil me.n bahut duur tak udaasii hai
Ishaq Virdag
Sher
ham tiraa hijr manaane ke liye nikle hai.n
shahr me.n aag lagaane ke liye nikle hai.n
Jaun Eliya
Sher
ruuThe logo.n ko manaane me.n maza aataa hai
jaan kar aap ko naaraaz kiyaa hai mai.n ne
Fawad Ahmad
Sher
shaam hotii hai to lagtaa hai ko.ii ruuTh gayaa
aur shab us ko manaane me.n guzar jaatii hai
Ashfaq Nasir
Sher
sabhii apne nazar aate hai.n ba-zaahir lekin
ruuThne vaalaa hai ko.ii na manaane vaalaa
Iqbal Ashhar
Sher
aise lagtaa hai ki kamzor bahut hai tuu bhii
jiit kar jashn manaane kii zaruurat kyaa thii
Saadullah Shah
Sher
aap ne eid mubaarak to kahaa hai lekin
aap ne eid manaane kii ijaazat nahii.n dii
Mahwar Sirsivi
Sher
aag dariyaa ko ishaaro.n se lagaane vaalaa
ab ke ruuThaa hai bahut mujh ko manaane vaalaa
Vishal Khullar
Sher
hamaare biich me.n ik aur shaKHs honaa thaa
jo la.D pa.De to ko.ii bhii nahii.n manaane kaa
Musavvir Sabzwari
Sher
ab ke ruuThe to manaane nahii.n aayaa ko.ii
baat ba.Dh jaa.e to ho jaatii hai kam aap hii aap
Fay Seen Ejaz
Sher
Barqi Azmi
Sher
haalaat 'shahaab' aa.nkh uThaane nahii.n dete
bachcho.n ko magar iid manaane kii pa.Dii hai
Shahab Safdar
Sher
use manaane me.n ham ne ga.nvaa diyaa us ko
ki shiisha TuuT gayaa dhuul saaf karte hu.e
Mukesh Aalam
Sher
teraa aashiq tere qadmo.n se lipaT jaa.egaa
ruuThne vaale tujhe aaj manaane ke liye
Ishraque Azizi
Sher
tum ne dekhaa nahii.n hogaa kabhii aisaa qaatil
jo lahuu chuusne kaa jashn manaane nikle