SEARCH RESULTS
Showing search results for "manam"
Sher MATCHES FOR "manam"
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
Gam aur KHushii me.n farq na mahsuus ho jahaa.n
mai.n dil ko us maqaam pe laataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
tumhaaraa hijr manaa luu.n agar ijaazat ho
mai.n dil kisii se lagaa luu.n agar ijaazat ho
Jaun Eliya
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
but-KHaana to.D Daaliye masjid ko Dhaa.iye
dil ko na to.Diye ye KHudaa kaa maqaam hai
Haidar Ali Aatish
Sher
jahaa.n pahu.nch ke qadam Dagmagaa.e hai.n sab ke
usii maqaam se ab apnaa raastaa hogaa
Aabid Adeeb
Sher
Ummeed Fazli
Sher
rahaa na dil me.n vo bedard aur dard rahaa
muqiim kaun hu.aa hai maqaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
Ahmad Salman
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
maanaa ki is zamii.n ko na gulzaar kar sake
kuchh KHaar kam to kar ga.e guzre jidhar se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
ye kis maqaam pe laa.ii hai merii tanhaa.ii
ki mujh se aaj ko.ii bad-gumaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Sher
ye samajh ke maanaa hai sach tumhaarii baato.n ko
itne KHuub-suurat lab jhuuT kaise bole.nge