SEARCH RESULTS
Showing search results for "mandii"
Sher MATCHES FOR "mandii"
Sher
ham aise saada-dilo.n kii niyaaz-mandii se
buto.n ne kii hai.n jahaa.n me.n KHudaa.iyaa.n kyaa kyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
hosh-mandii se jahaa.n baat na bantii ho 'sahar'
kaam aise me.n bahut be-KHabarii aatii hai
Abu Mohammad Sahar
Sher
aag to chaaro.n hii jaanib thii par achchhaa ye hai
hosh-mandii se kisii chiiz ko jalne na diyaa
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
sai.nt kar iimaan kuchh din aur rakhnaa hai abhii
aaj-kal baazaar me.n mandii hai sastaa hai abhii
Sabir
Sher
ajiib chiiz hai ye shauq-e-aarzuu-mandii
hayaat miT ke rahii dil KHaraab ho ke rahaa
Arshi Bhopali
Sher
tadbiir ma.aash is jaa hai shart-e-KHirad-mandii
insaan nahii.n ginte ham 'mus.hafii' kaa.er ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Iftikhar Arif
Sher
mai.n ne maa.ngii thii ujaale kii faqat ek kiran
tum se ye kis ne kahaa aag lagaa dii jaa.e
Zakia Ghazal
Sher
tujh se kis tarah mai.n iz.haar-e-tamannaa kartaa
lafz suujhaa to ma.aanii ne baGaavat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
lafz o manzar me.n ma.aanii ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo
Mahmood Ayaz
Sher
charaaG ghar kaa ho mahfil kaa ho ki mandir kaa
havaa ke paas ko.ii maslahat nahii.n hotii
Waseem Barelvi
Sher
maa.ngii thii ek baar du.aa ham ne maut kii
sharminda aaj tak hai.n miyaa.n zindagii se ham
Unknown
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
buraa na maan 'ziyaa' us kii saaf-go.ii kaa
jo dard-mand bhii hai aur be-adab bhii nahii.n
Zia Jalandhari
Sher
na sataa.ish kii tamannaa na sile kii parvaa
gar nahii.n hai.n mire ash.aar me.n ma.anii na sahii
Mirza Ghalib
Sher
vo aql-mand kabhii josh me.n nahii.n aataa
gale to lagtaa hai aaGosh me.n nahii.n aataa