SEARCH RESULTS
Showing search results for "maq.iis"
Sher MATCHES FOR "maq.iis"
Sher
jis kii saa.nso.n se mahakte the dar-o-baam tire
ai makaa.n bol kahaa.n ab vo makii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Sher
udaasii aaj bhii vaisii hai jaise pahle thii
makii.n badalte rahe hai.n makaa.n nahii.n badlaa
Obaid Siddiqi
Sher
jis jaa makiin ban.ne ke dekhe the mai.n ne KHvaab
us ghar me.n ek shaam kii mehmaan bhii na thii
Parveen Shakir
Sher
kabhii to yuu.n ki makaa.n ke makii.n nahii.n hote
kabhii kabhii to makii.n kaa makaa.n nahii.n hotaa
Nadeem ahmad
Sher
Abbas Tabish
Sher
har ik makaan ko hai makii.n se sharaf 'asad'
majnuu.n jo mar gayaa hai to jangal udaas hai
Mirza Ghalib
Sher
kab tak yaqiin ishq hame.n KHud na aa.egaa
kab tak makaa.n kaa haal kahe.nge makii.n se ham
Saba Akbarabadi
Sher
ye zulm dekhiye ki gharo.n me.n lagii hai aag
aur hukm hai makiin nikal kar na ghar se aa.e.n
Mohsin Zaidi
Sher
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
Shahryar
Sher
judaa thii baam se diivaar dar akelaa thaa
makii.n the KHud me.n magan aur ghar akelaa thaa
Javed Shaheen
Sher
bichha.D ke tujh se tirii yaad bhii nahii.n aa.ii
makaa.n kii samt palaT kar makii.n nahii.n aayaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
dekhe hu.e se lagte hai.n raste makaa.n makii.n
jis shahr me.n bhaTak ke jidhar jaa.e aadmii
Muneer Niyazi
Sher
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
mai.n kisii aur hii aalam kaa makii.n huu.n pyaare
mere jangal kii tarah ghar bhii hai sunsaan miraa
Akbar Masoom
Sher
ma.aluum nahii.n kaun sii bastii ke makii.n the
kuchh log mirii soch se bhii ba.Dh ke hasii.n the
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
makii.n yahii.n kaa hai lekin makaa.n se baahar hai
abhii vo shaKHs mirii daastaa.n se baahar hai
Hasan Abbas Raza
Sher
ko.ii makii.n thaa na mehmaan aane vaalaa thaa
to phir kivaa.D khulaa kis ke intizaar me.n thaa
Manzoor Hashmi
Sher
Pallav Mishra
Sher
mirii galii ke makii.n ye mire rafiiq-e-safar
ye log vo hai.n jo chehre badalte rahte hai.n