SEARCH RESULTS
Showing search results for "marham"
Sher MATCHES FOR "marham"
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
vaqt har zaKHm kaa marham to nahii.n ban saktaa
dard kuchh hote hai.n taa-umr rulaane vaale
Sada Ambalvi
Sher
kar ke zaKHmii tuu mujhe sau.np gayaa Gairo.n ko
kaun rakkhegaa mire zaKHm pe marham tujh bin
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Farhat Ehsas
Sher
ko.ii puraanaa KHat kuchh bhuulii-bisrii yaad
zaKHmo.n par vo lamhe marham hote hai.n
Anjum Irfani
Sher
us ne hamaare zaKHm kaa kuchh yuu.n kiyaa ilaaj
marham bhii gar lagaayaa to kaa.nTo.n kii nok se
Iftikhar Sagar
Sher
riste hu.e zaKHmo.n kaa ho kuchh aur mudaavaa
ye harf-e-tasallii ko.ii marham to nahii.n hai
Moin Ahsan Jazbi
Sher
chaaraagar KHuub samajhtaa hai ki in zaKHmo.n ko
ko.ii marham nahii.n nashtar hii shifaa dete hai.n
Unknown
Sher
tiir aayaa thaa jidhar ye mire shahr ke log
kitne saadaa hai.n ki marham bhii vahii.n dekhte hai.n
Amjad Islam Amjad
Sher
vaqt bhii ab miraa marham nahii.n hone paataa
dard kaisaa hai jo maddham nahii.n hone paataa
Sarwat Zehra
Sher
zaKHm ye vasl ke marham se bhii shaayad na bhare
hijr me.n aisii milii ab ke masaafat ham ko
Amjad Islam Amjad
Sher
marham tire visaal kaa laazim hai ai sanam
dil me.n lagii hai hijr kii barchhii kii huul aaj
Siraj Aurangabadi
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
Shamim Karhani
Sher
zaKHm-e-talaash me.n hai nihaa.n marham-e-daliil
tuu apnaa dil na haar mohabbat bahaal rakh
Meer Ahmad Naved
Sher
nusKHa-e-marham-e-iksiir bataane vaale
tuu miraa zaKHm to pahle mujhe vaapas kar de