SEARCH RESULTS
Showing search results for "markaz-e-tajalli-e-shams-o-qamar"
Sher MATCHES FOR "markaz-e-tajalli-e-shams-o-qamar"
Sher
shams-o-qamar se aur kabhii kahkashaa.n se ham
guzre hai.n laakh baar had-e-laa-makaa.n se ham
Sailani Sevte
Sher
rahtii hai shams-o-qamar ko tire saa.e kii talaash
raushnii Dhuu.nDhtii phirtii hai a.ndheraa teraa
Natiq Gulavthi
Sher
aalam hai tire partav-e-ruKH se ye hamaaraa
hairat se hame.n shams-o-qamar dekh rahe hai.n
Mela Ram Wafa
Sher
riste hu.e zaKHmo.n kaa ho kuchh aur mudaavaa
ye harf-e-tasallii ko.ii marham to nahii.n hai
Moin Ahsan Jazbi
Sher
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
kyuu.n tiirgii se is qadar maanuus huu.n 'zafar'
ik sham-e-rah-guzaar ki sahar tak jalii bhii hai
Ahmad Zafar
Sher
isii qadar hai hayaat o ajal ke biich kaa farq
ye ek dhuup kaa dariyaa vo ik kinaara-e-shaam
Ain Tabish
Sher
tuufaan-e-Gam kii tund havaa.o.n ke baavajuud
ik sham-e-aarzuu hai jo ab tak bujhii nahii.n
Naresh Kumar Shad
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
KHuun hotaa hai sahar tak mire armaano.n kaa
shaam-e-va.ada jo vo paaband-e-hinaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
kamaal-e-taalib-duu.n-e-duu.n hai piir-e-haram
KHudaa ke ghar me.n hai lekin KHudaa se baahar hai
Imdad Ali Bahr
Sher
ye zindagii kii raat hai taariik kis qadar
dono.n siro.n pe sham.a jalaa.o nashe me.n aa.o
Wamiq Jaunpuri
Sher
mai.n chaa.nd bhej rahaa huu.n ki tum ko dekh aa.e
tumhaare shahr me.n ab shaam ho ga.ii hogii
Talib Husain Talib
Sher
kamaal-e-ishq hai diivaana ho gayaa huu.n mai.n
ye kis ke haath se daaman chhu.Daa rahaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
vafaa ke baab me.n kaar-e-suKHan tamaam hu.aa
mirii zamiin pe ik ma.arka lahuu kaa bhii ho