SEARCH RESULTS
Showing search results for "marx"
Sher MATCHES FOR "marx"
Sher
ishq me.n maarka-e-qalb-o-nazar kyaa kahiye
choT lagtii hai kahii.n dard kahii.n hotaa hai
Hafeez Banarasi
Sher
vo maarka ki aaj bhii sar ho nahii.n sakaa
mai.n thak ke muskuraa diyaa jab ro nahii.n sakaa
Ameer Imam
Sher
is ma.arke me.n ishq bechaaraa karegaa kyaa
KHud husn ko hai.n jaan ke laale pa.De hu.e
Ahmad Mushtaq
Sher
ma.arka garm to ho lene do KHuu.n-rezii kaa
pahle shamshiir ke niiche hamii.n jaa baiThe.nge
Meer Taqi Meer
Sher
paas-e-hayaat kaa KHayaal ham ko bahut buraa lagaa
pas ba-hujuum-e-ma.arka jaan ke be-sipar ga.e
Jaun Eliya
Sher
jiitne maarka-e-dil vo lagaataar gayaa
jis gha.Dii fat.h kaa ailaan hu.aa haar gayaa
Abdul Ahad Saaz
Sher
vafaa ke baab me.n kaar-e-suKHan tamaam hu.aa
mirii zamiin pe ik ma.arka lahuu kaa bhii ho
Iftikhar Arif
Sher
abhii sumuum ne maanii kahaa.n nasiim se haar
abhii to ma.arka-haa-e-chaman kuchh aur bhii hai.n
Moin Ahsan Jazbi
Sher
makaa.n se hogaa kabhii laa-makaan se hogaa
miraa ye ma.arka dono.n jahaan se hogaa
Taimur Hasan
Sher
phir masaa.il ke yaziid aa.e hai.n bai'at lene
garm phir ma.arka-e-karb-o-balaa hai mujh me.n
Mehboob Rahi
Sher
kis taaza maarke pe gayaa aaj phir 'zafar'
talvaar taaq me.n hai na gho.Daa hai thaan par
Zafar Iqbal
Sher
la.D ga.ii un se nazar khi.nch ga.e abruu un ke
ma.arke ishq ke ab tiir-o-kamaa.n tak pahu.nche
Betab Azimabadi
Sher
kuchh ma.arke hamaare bhii ham tak hii rah ga.e
gumnaam ik sipaahii kii KHidmaat kii tarah
Syed Anwar Ahmad
Sher
Moid Rasheedi
Sher
kam ma.arka-e-ziist nahii.n jang-e-uhad se
asbaab-e-jahaa.n maal-e-Ganiimat kii tarah hai