SEARCH RESULTS
Showing search results for "masKH"
Sher MATCHES FOR "masKH"
Sher
kis kis phuul kii shaadaabii ko masKH karoge bolo!!!
ye to us kii den hai jis ko chaahe vo mahkaa.e
Fariha Naqvi
Sher
darbaano.n tak ke chehre ra.uunat se masKH hai.n
dast-e-talab liye hu.e phir bhii kha.De hai.n log
Ejaz Warsi
Sher
lafz kii buhtaat itnii naqd o fan me.n aa ga.ii
masKH ho kar suurat-e-ma.anii suKHan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
ab zamii.n par ko.ii gautam na mohammad na masiih
aasmaano.n se na.e log utaare jaa.e.n
Ahmad Faraz
Sher
fikr-e-ma.aash ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
is zindagii me.n ab ko.ii kyaa kyaa kiyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
masiih-o-KHizr kii umre.n nisaar ho.n us par
vo ek lamha jo yaaro.n ke darmiyaa.n guzre
Majeed Amjad
Sher
fikr-e-ma.aash maatam-e-dil aur KHayaal-e-yaar
tum sab se ma.azarat ki tabii.at udaas hai
Javed Iqbal
Sher
maze jo maut ke aashiq bayaa.n kabhuu karte
masiih o KHizr bhii marne kii aarzuu karte
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
fikr-e-ma.aash o ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
in mushkilo.n se ahd-bar.aa.ii na ho sakii
Tilok Chand Mahroom
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
rozii-rasaa.n KHudaa hai fikr-e-ma.aash mat kar
is KHaar kaa tuu dil me.n KHauf-e-KHaraash mat kar
Meer Mohammadi Bedar
Sher
guzaartaa huu.n jo shab ishq-e-be-ma.aash ke saath
to sub.h ashk mire naashte pe girte hai.n
Sabir Zafar
Sher
fikr-e-suKHan talaash-e-ma.aash o KHayaal-e-yaar
Gam kam hu.aa to haa.n dil-e-be-Gam se hovegaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shaayad aa jaa.e kabhii dekhne vo rashk-e-masiih
mai.n kisii aur se is vaaste achchhaa na hu.aa
Anwar Taban
Sher
tadbiir ma.aash is jaa hai shart-e-KHirad-mandii
insaan nahii.n ginte ham 'mus.hafii' kaa.er ko