SEARCH RESULTS
Showing search results for "masaa.il"
Sher MATCHES FOR "masaa.il"
Sher
ye masaa.il-e-tasavvuf ye tiraa bayaan 'Gaalib'
tujhe ham valii samajhte jo na baada-KHvaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
safar ke saath safar ke na.e masaa.il the
gharo.n kaa zikr to raste me.n chhuuT jaataa thaa
Waseem Barelvi
Sher
tum aasmaa.n kii bulandii se jald lauT aanaa
hame.n zamii.n ke masaa.il pe baat karnii hai
Shayar Jamali
Sher
an-ginat KHuunii masaa.il kii havaa aisii chalii
ranj-o-Gam kii gard me.n lipTaa har ik chehra milaa
Sajid Khairabadi
Sher
sabhii ke apne masaa.il sabhii kii apnii anaa
pukaaruu.n kis ko jo de saath umr bhar meraa
Anwar Jalalpuri
Sher
Faza Ibn e Faizi
Sher
saarii duniyaa ke masaa.il yuu.n mujhe darpesh hai.n
teraa Gam kaafii na ho jaise guzar-auqaat ko
Shahryar
Sher
shaiKH-saahab ne masaa.il me.n jaka.D rakkhaa hai
varna islaam to aasaan thaa achchhaa-KHaasaa
Osama Muneer
Sher
phir masaa.il ke yaziid aa.e hai.n bai'at lene
garm phir ma.arka-e-karb-o-balaa hai mujh me.n
Mehboob Rahi
Sher
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
zinda rahne ke taqaazo.n ne mujhe maar diyaa
sar pe 'jaaved' ajab ahd-e-masaa.il aayaa
Nazar Javed
Sher
Azad Gulati
Sher
yuu.n imtihaan meraa lete rahe masaa.il
ik haath par thaa dariyaa ik haath par thaa saahil
Sujit Sahgal Haasil
Sher
mai.n apne talKH masaa.il me.n kho gayaa thaa kahii.n
ki aaj raat ko phir us ko KHvaab me.n dekhaa
Ahmad Niyaz Razzaqi
Sher
Jaun Eliya
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa