SEARCH RESULTS
Showing search results for "maslak-e-ushshaaq"
Sher MATCHES FOR "maslak-e-ushshaaq"
Sher
majlis me.n mire zikr ke aate hii uThe vo
badnaami-e-ushshaaq kaa e.azaaz to dekho
Momin Khan Momin
Sher
dil-e-ushshaaq parindo.n kii tarah u.Dte hai.n
is bayaabaan me.n kyaa ek bhii sayyaad nahii.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aa shitaabii sii.n vagarna majlis-e-ushshaaq me.n
zulm hai Gam hai qayaamat hai KHaraabii ai sanam
Siraj Aurangabadi
Sher
paar dariyaa-e-shahaadat se utar jaate hai.n sar
kashtii-e-ushshaaq kii mallaah ban jaatii hai teG
Bayan Meeruthi
Sher
saj diyaa hairat-e-ushshaaq ne is but kaa makaa.n
qadd-e-aadam hai.n lage aa.ine diivaaro.n me.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
to maa.il-e-ushshaaq-kushii hai to yahaa.n bhii
jiine kii tama.a ai but-e-maGruur kise hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vaa.iz se na puuchhuu.ngaa kabhii mas.ala-e-ishq
mai.n KHuub samajhtaa huu.n jo irshaad kare.nge
Manzar Lakhnavi
Sher
Abdul Majeed Salik
Sher
mash.huur javaanii me.n ho vo kyuu.n na jagat-baaz
mailaan-e-tabii.at thaa la.Dakpan se zile par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
kis tarah KHush ho.n shaam ko vo chaa.nd dekh kar
aataa nahii.n hai mash.al-e-mah kaa dhu.aa.n pasand
Muneer Shikohabadi
Sher
faqat zamaan o makaa.n me.n zaraa saa farq aayaa
jo ek mas.ala-e-dard thaa abhii tak hai
Shahram Sarmadi
Sher
dekhnaa kam-nigahii kiijiyo mat ai saaqii
ba-juz-ushshaaq hai mai sab ko baraabar pahu.nche
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ab dard me.n vo kaifiyat-e-dard nahii.n hai
aayaa huu.n jo us bazm-e-gul-afshaa.n se guzar ke