SEARCH RESULTS
Showing search results for "masruuqa"
Sher MATCHES FOR "masruuqa"
Sher
kaun sii jaa hai jahaa.n jalva-e-maashuuq nahii.n
shauq-e-diidaar agar hai to nazar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
us ko bhii yaad karne kii fursat na thii mujhe
masruuf thaa mai.n kuchh bhii na karne ke baavajuud
Zafar Iqbal
Sher
aashiq huu.n pa maashuuq-farebii hai miraa kaam
majnuu.n ko buraa kahtii hai lailaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
masruuf hai.n kuchh itne ki ham kaar-e-mohabbat
aaGaaz to kar lete hai.n jaarii nahii.n rakhte
Abbas Tabish
Sher
Safi Aurangabadi
Sher
ham ko kis ke Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
kis ne to.Daa dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii
Masroor Anwar
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kyuu.n vasl kii shab haath lagaane nahii.n dete
maashuuq ho yaa ko.ii amaanat ho kisii kii
Dagh Dehlvi
Sher
fursat me.n rahaa karte hai.n fursat se zyaada
masruuf hai.n ham log zaruurat se zyaada
Sultan Akhtar
Sher
ye sochnaa Galat hai ki tum par nazar nahii.n
masruuf ham bahut hai.n magar be-KHabar nahii.n
Aalok Shrivastav
Sher
ik ham hai.n ki ham ne tumhe.n ma.ashuuq banaayaa
ik tum ho ki tum ne hame.n rakkhaa na kahii.n kaa
Muztar Khairabadi
Sher
kisii maashuuq kaa aashiq se KHafaa ho jaanaa
ruuh kaa jism se goyaa hai judaa ho jaanaa
Ahsan Marahravi
Sher
bhii.D ke KHauf se phir ghar kii taraf lauT aayaa
ghar se jab shahr me.n tanhaa.ii ke Dar se niklaa