SEARCH RESULTS
Showing search results for "mat.uu.n"
Sher MATCHES FOR "mat.uu.n"
Sher
Ameer Khusrau
Sher
raat KHvaab me.n mai.n ne apnii maut dekhii thii
itne rone vaalo.n me.n... tum nazar nahii.n aa.e
Iqbal Mateen
Sher
lafzo.n kaa KHazaana bhii kabhii kaam na aa.e
baiThe rahe.n likhne ko tiraa naam na aa.e
Khaleel Mamoon
Sher
maut bar-haq hai to phir maut se Darnaa kaisaa
ek hijrat hii to hai naql-e-makaanii hii to hai
Tariq Matin
Sher
zindagii kii bhii yaqiinan ko.ii manzil hogii
ye safar hii kii tarah ek safar hai ki nahii.n
Matin Niazi
Sher
aisaa ho zindagii me.n ko.ii KHvaab hii na ho
a.ndhiyaarii raat me.n ko.ii mahtaab hii na ho
Khaleel Mamoon
Sher
aise mar jaa.e.n ko.ii naqsh na chho.De.n apnaa
yaad dil me.n na ho aKHbaar me.n tasviir na ho
Khaleel Mamoon
Sher
na to mai.n huur kaa maftuu.n na parii kaa aashiq
KHaak ke putle kaa hai KHaak kaa putlaa aashiq
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
har ek kaam hai dhoka har ek kaam hai khel
ki zindagii me.n tamaashaa bahut zaruurii hai
Khaleel Mamoon
Sher
hazaaro.n chaa.nd sitaare chamak ga.e hote
kabhii nazar jo tirii maa.il-e-karam hotii
Khaleel Mamoon
Sher
merii tarah se ye bhii sataayaa hu.aa hai kyaa
kyuu.n itne daaG dikhte hai.n mahtaab me.n abhii
Khaleel Mamoon
Sher
logo.n ko apnii fikr hai lekin mujhe nadiim
bazm-e-hayaat-o-nazm-e-gulistaa.n kii fikr hai
Abdul Mateen Niyaz
Sher
dil ne har daur me.n duniyaa se baGaavat kii hai
dil se tum rasm-o-rivaayaat kii baate.n na karo