SEARCH RESULTS
Showing search results for "mataa"
Sher MATCHES FOR "mataa"
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kyuu.n mataa-e-dil ke luT jaane kaa ko.ii Gam kare
shahr-e-dillii me.n to aise vaaqiye hote rahe
Zubair Rizvi
Sher
kuchh is tarah se luTii hai mataa-e-diida-o-dil
ki ab kisii se bhii zikr-e-vafaa nahii.n karte
Ahmad Riyaz
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
jo apnii zaat se baahar na aa sakaa ab tak
vo pattharo.n ko mataa-e-havaas kyaa degaa
Mohsin Naqvi
Sher
bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mataa-e-dard parakhnaa to bas kii baat nahii.n
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
KHushii hii shart nahii.n lutf-e-zindagii ke liye
mataa-e-Gam bhii zaruurii hai aadmii ke liye
Akhtar Muslimi
Sher
Unknown
Sher
kisii se ishq ho jaane ko afsaana nahii.n kahte
ki afsaane mata-e-kuucha-o-baazaar hote hai.n
Syed Amin Ashraf
Sher
kisii ke raaste kii KHaak me.n pa.De hai.n 'zafar'
mataa-e-umr yahii aajizii nikaltii hai
Zafar Ajmi
Sher
mataa-e-jaa.n hai.n mirii umr bhar kaa haasil hai.n
vo chand lamhe tire qurb me.n guzaare hu.e
Shahbaz Khwaja
Sher
Aziz Warsi
Sher
kam nahii.n ai dil-e-betaab mataa-e-ummiid
dast-e-mai-KHvaar me.n KHaalii hii sahii jaam to hai
Hasan Naim
Sher
Gam is qadar nahii.n the Dhale jitne sher me.n
daulat banaa.ii KHuub mataa-e-qaliil se
Nomaan Shauque
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
mataa-e-dard ma.aal-e-hayaat hai shaayad
dil-e-shikasta mirii kaa.enaat hai shaayad
Farhan Salim
Sher
kyaa KHabar kis mo.D par bikhre mataa-e-ehtiyaat
pattharo.n ke shahr me.n huu.n aa.iina o.Dhe hu.e