SEARCH RESULTS
Showing search results for "maun"
Sher MATCHES FOR "maun"
Sher
rahtaa hai ibaadat me.n hame.n maut kaa khaTkaa
ham yaad-e-KHudaa karte hai.n, kar le na KHudaa yaad
Akbar Allahabadi
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
mohabbat kii to ko.ii had, ko.ii sarhad nahii.n hotii
hamaare darmiyaa.n ye faasle, kaise nikal aa.e
Khalid Moin
Sher
Asghar Gondvi
Sher
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
ai taa.ir-e-laahautii us rizq se maut achchhii
jis rizq se aatii ho parvaaz me.n kotaahii
Allama Iqbal
Sher
kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahii.n
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
Firaq Gorakhpuri
Sher
jo log maut ko zaalim qaraar dete hai.n
KHudaa milaa.e unhe.n zindagii ke maaro.n se
Nazeer Siddiqui
Sher
naa-umiidii maut se kahtii hai apnaa kaam kar
aas kahtii hai Thahar KHat kaa javaab aane ko hai
Fani Badayuni
Sher
muKHtasar ye hai hamaarii daastaan-e-zindagii
ik sukuun-e-dil kii KHaatir umr bhar ta.Dpaa kiye