SEARCH RESULTS
Showing search results for "mausam-e-diivaar-o-dar"
Sher MATCHES FOR "mausam-e-diivaar-o-dar"
Sher
Abbas Tabish
Sher
diivaar-o-dar saa chaahiye diivaar-o-dar mujhe
diivaangii me.n yaad nahii.n apnaa ghar mujhe
Vishal Khullar
Sher
diivaar o dar jhulaste rahe tez dhuup me.n
baadal tamaam shahr se baahar baras gayaa
Iftikhar Naseem
Sher
tere KHayaal ke diivaar-o-dar banaate hai.n
ham apne ghar me.n bhii teraa hii ghar banaate hai.n
Jameeluddin Aali
Sher
diivaar o dar ne ra.ngo.n se daaman chhu.Daa liyaa
yak-ra.ngi-e-sukuut se kyuu.n ghar niDhaal hai
Mahender Kumar Sani
Sher
apnii majbuurii ko ham diivaar-o-dar kahne lage
qaid kaa saamaa.n kiyaa aur us ko ghar kahne lage
Shabnam Rumani
Sher
Nazeer Baaqri
Sher
ye ham jo hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhte hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naama-bar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
KHushnumaa diivaar-o-dar ke KHvaab hii dekhaa kiye
jism sahraa zehn viiraa.n aa.nkh giilii ho ga.ii
Abrar Azmi
Sher
hamla hai chaar suu dar-o-diivaar-e-shahr kaa
sab ja.ngalo.n ko shahr ke andar sameT lo
Jaun Eliya
Sher
diivaar-o-dar pe kirshn kii liilaa ke naqsh hai.n
mandir hai ye to 'krishn' ke darbaar kii tarah
Shobha Kukkal
Sher
ye haal hai mire diivaar-o-dar kii vahshat kaa
ki mere hote hu.e bhii makaan KHaalii hai
Mushfiq Khwaja
Sher
hisaar-e-zaat ke diivaar-o-dar me.n qaid rahe
tamaam umr ham apne hii ghar me.n qaid rahe
Hafeez Banarasi
Sher
diivaar-o-dar pe KHuun ke chhii.nTe hai.n jaa-ba-jaa
bikhraa hu.aa hai ra.ng-e-hinaa tere shahar me.n
Kaif Azimabadi
Sher
dar-o-diivaar-e-chaman aaj hai.n KHuu.n se labrez
dast-e-gul-chii.n se mabaadaa ko.ii dil TuuTaa hai