SEARCH RESULTS
Showing search results for "maz.har-e-fitrat"
Sher MATCHES FOR "maz.har-e-fitrat"
Sher
tamaam maz.har-e-fitrat tire Gazal-KHvaa.n hai.n
ye chaa.ndnii bhii tire jism kaa qasiida hai
Izhar Asar
Sher
'fitrat' dil-e-kaunain kii dha.Dkan to zaraa sun
ye hazrat-e-insaa.n hii kii azmat kaa bayaa.n hai
Abdul Aziz Fitrat
Sher
ishq KHud apnii jagah maz.har-e-anvaar-e-KHudaa
aql is soch me.n gum kis ko KHudaa kahte hai.n
Ravish Siddiqi
Sher
ham me.n hii aalam-e-akbar hu.e go jurm-e-saGiir
maz.har-e-jalva-e-haq hazrat-e-insaa.n hai.n ham
Meer Hasan
Sher
zamii.n se ahl-e-falak ko payaam-e-nazzaara
naqaab-e-aariz-e-fitrat kii jumbish-e-paiham
Izhaar Malihabadi
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
tiraa visaal ba.Dii chiiz hai magar ai dost
visaal ko mirii duniyaa-e-aarzuu na banaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
tujh se hijaab kyaa magar ai ham-nashii.n na puuchh
us dard-e-hijr ko jo shab-e-Gam uThaa nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
jab tak ki na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam
mai.n mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Sher
Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
aa.nkh bhar aa.ii kisii se jo mulaaqaat hu.ii
KHushk mausam thaa magar TuuT ke barsaat hu.ii
Manzar Bhopali
Sher
firaaq-e-yaar ke dukh.De sunaa.e.nge kab tak
ki saama'iin bhii mauzuu' jadiid chaahte hai.n
Mahwar Sirsivi
Sher
ba.Dii taviil hai 'mahshar' kisii ke hijr kii baat
ko.ii Gazal hii sunaa.o ki nii.nd aa jaa.e
Mahshar Inayati
Sher
kabhii na jaa.egaa aashiq se dekh-bhaal kaa rog
pilaa.o laakh use bad-maza davaa-e-firaaq