SEARCH RESULTS
Showing search results for "mazammat"
Sher MATCHES FOR "mazammat"
Sher
ye mere ishq kii majbuuriyaa.n ma.aaz-allaah
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
yahii zindagii musiibat yahii zindagii musarrat
yahii zindagii haqiiqat yahii zindagii fasaana
Moin Ahsan Jazbi
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
zindagii kitnii masarrat se guzartii yaa rab
aish kii tarah agar Gam bhii gavaaraa hotaa
Akhtar Shirani
Sher
Parvez akhtar
Sher
fikr-e-ma.aash maatam-e-dil aur KHayaal-e-yaar
tum sab se ma.azarat ki tabii.at udaas hai
Javed Iqbal
Sher
Krishn Bihari Noor
Sher
lagaa rahaa huu.n mazaamiin-e-nau ke phir ambaar
KHabar karo mere KHirman ke KHoshaa-chiino.n ko
Meer Anees
Sher
be-naam masaafat hii muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta.ayyun kabhii hotaa hai safar se
Parveen Shakir
Sher
na jaane kal ho.n kahaa.n saath ab havaa ke hai.n
ki ham parinde maqaamaat-e-gum-shuda ke hai.n
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ham se ba.Dhii masaafat-e-dasht-e-vafaa ki ham
KHud hii bhaTak ga.e jo kabhii raasta milaa
Zehra Nigaah
Sher
ye baat sach hai tumhe.n zulm me.n mahaarat hai
ye baat bhii to haqiiqat hai mai.n nahii.n Dartaa