SEARCH RESULTS
Showing search results for "mazbuut"
Sher MATCHES FOR "mazbuut"
Sher
Haseeb Soz
Sher
jin ke mazbuut iraade bane pahchaan un kii
manzile.n aap hii ho jaatii hai.n aasaan un kii
Aleena Itrat
Sher
kashtiyaa.n mazbuut sab bah jaa.e.ngii sailaab me.n
kaaGzii ik naav merii zaat kii rah jaa.egii
Khalid Suhail
Sher
ko.ii zanjiir nahii.n taar-e-nazar se mazbuut
ham ne is chaa.nd pe Daalii hai kamand aa.nkho.n se
Anwar Shuoor
Sher
zindagii ja.ng hai a.asaab kii aur ye bhii suno
ishq a.asaab ko mazbuut banaa detaa hai
Taimur Hasan
Sher
aa ki mazbuut kare.n pyaar kii buniyaado.n ko
ghar shikasta ho to barsaat me.n baT jaataa hai
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
tab jaa ke kahii.n zaabit-o-mazbuut hu.e hai.n
ham saal ka.ii aatish-e-dozaKH me.n jale hai.n
Meem Maroof Ashraf
Sher
ilaaj ye hai ki majbuur kar diyaa jaa.uu.n
vagarna yuu.n to kisii kii nahii.n sunii mai.n ne
Jaun Eliya
Sher
itnii miltii hai mirii Gazlo.n se suurat terii
log tujh ko miraa mahbuub samajhte ho.nge
Bashir Badr
Sher
rahtaa hai ibaadat me.n hame.n maut kaa khaTkaa
ham yaad-e-KHudaa karte hai.n, kar le na KHudaa yaad
Akbar Allahabadi
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa