SEARCH RESULTS
Showing search results for "meer asad ali khan"
Sher MATCHES FOR "meer asad ali khan"
Sher
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
himmat kaa zaahido.n kii saraasar qusuur thaa
mai-KHaana KHaanqaah se aisaa na duur thaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
apne begaane se ab mujh ko shikaayat na rahii
dushmanii kar ke mire dost ne maaraa mujh ko
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
zamiin paa.nv ke niiche se sarkii jaatii hai
hame.n na chhe.Diye ham hai.n falak sataa.e hu.e
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
sitam vo tum ne kiye bhuule ham gila dil kaa
hu.aa tumhaare biga.Dne se faisla dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
manzil hai apnii apnii 'qalaq' apnii apnii gor
ko.ii nahii.n shariik kisii ke gunaah me.n
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
ghaaT par talvaar ke nahlaa.iiyo mayyat mirii
kushta-e-abruu huu.n mai.n kyaa Gusl-KHaana chaahiye
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
be-sabab Gunche chaTakte nahii.n gulzaaro.n me.n
phir rahaa hai ye Dhi.nDhoraa tirii ra.anaa.ii kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
kare.nge ham se vo kyuu.nkar nibaah dekhte hai.n
ham un kii tho.De dino.n aur chaah dekhte hai.n
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
vo ek raat to mujh se alag na so.egaa
hu.aa jo lazzat-e-bos-o-kanaar se vaaqif
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
sinduur us kii maa.ng me.n detaa hai yuu.n bahaar
jaise dhanak nikaltii hai abr-e-siyaah me.n
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
agar na jaama-e-hastii miraa nikal jaataa
to aur tho.De dino.n ye libaas chal jaataa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
aaKHir insaan huu.n patthar kaa to rakhtaa nahii.n dil
ai buto itnaa sataa.o na KHudaa-raa mujh ko
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
aasaar-e-rihaa.ii hai.n ye dil bol rahaa hai
sayyaad sitamgar mire par khol rahaa hai
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
raste me.n un ko chhe.D ke khaate hai.n gaaliyaa.n
baazaar kii miThaa.ii bhii hotii hai kyaa laziiz
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
umr to apnii hu.ii sab but-parastii me.n basar
naam ko duniyaa me.n hai.n ab saahib-e-islaam ham
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
ai parii-zaad jo tuu raqs kare mastii me.n
daana-e-taak har ik paa.nv me.n ghu.nghruu ho jaa.e
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
vo ri.nd huu.n ki mujhe hathka.Dii se bai.at hai
milaa hai gesuu-e-jaanaa.n se silsila dil kaa